Aslam o Alaikum Dosto! Ek aur shandar article mein aapka khush amdeed hai, yahan hum seekhenge ke mobile ki most popular app WhatsApp se paise kaise kamaye.
WhatsApp lagbhag har smartphone istemal karne wale ke mobile mein mil jata hai, aur aap to jaante hi hain ke ye ek messenger app hai jiski madad se hum chat kar sakte hain, video, audio, file, aur text links bhej sakte hain.
Aap is baat ko bhi jaante hain ke log WhatsApp ko kitni zyada istemal karte hain, to agar hum WhatsApp istemal karke paisa kamana chahte hain to kaise ho sakta hai, is par sochna zaroori hai.
Ye sawaal bohat se logo ka hota hai, aur kuch logon ne mujh se bhi pucha hai ke WhatsApp se paise kaise kamaye, to aaj mein uska jawab is post mein dene wala hoon.
Sabse pehle yeh batana zaroori hai ke WhatsApp hamein koi paisa nahi dega aur na hi hamein kisi se paisa lena hoga, lekin WhatsApp ki madad se paisa kamana mumkin hai.
Ye Bhi Padhe:
WhatsApp Se Paise Kaise Kamaye
Chalye jante hai WhatsApp se paise kamane se pehle, hamein kya-kya zaroorat hai, ye dekhte hain, phir dekhte hain ke WhatsApp se paise kamane ke kis tarike hain.
WhatsApp Se Paise Kamane Ki Process
Aap to jaante hi hain ke WhatsApp par hum mobile number par messages bhej sakte hain, matlab agar humein WhatsApp se paise kamana hai to hamare paas bohat se WhatsApp ke numbers hone chahiye, jinse hum paise kama sakte hain.
Ab yeh hai ke hum apne messages ko WhatsApp users ke paas bhejte hain, aur agar woh hamare message mein jo kuch hum chahte hain woh karte hain, to isse hamari kamai hoti hai.
WhatsApp Se Paise Kamane Ke Liye Kya Chahiye
-
Smartphone
-
Internet Mobile Mein
-
Bohat Saare WhatsApp Users Ke Numbers
WhatsApp se paise kamane ke liye, hamein bas WhatsApp ke numbers ki bohat sari zaroorat hoti hai, phir hum un WhatsApp numbers se paisa kama sakte hain.
Agar aapke paas zyada WhatsApp numbers nahi hain to aap Facebook ki madad le sakte hain. WhatsApp numbers ko ikattha karne ke liye, aap Facebook par un category ke logon ki talash kar sakte hain jo aap chahate hain, phir aap un groups mein apna WhatsApp number share karenge. Is tarah, jo bhi log usmein interested honge, woh apna number comment kar denge, aur is tarah se aapke paas WhatsApp ke numbers ka ek collection ban jayega.
Jitne zyada WhatsApp users ke numbers honge, utne zyada kamai karne ke chances honge.
WhatsApp User Ke Numbers Jitne Zyada, Income Utni Zyada
Aapke paas jo WhatsApp ke numbers hain, aap unka broadcast bana sakte hain aur ek broadcast mein 256 numbers add ho sakte hain. Broadcast ki madad se hum ek saath 256 WhatsApp numbers par ek hi message bhej sakte hain.
WhatsApp Se Paise Kamane Ke Tarike
-
Affiliate Marketing
-
Online Teaching
-
Link Shortening
-
Khud Ke Product Ko Sell kare
-
PPD networks
-
Khud ka Promotion
-
Paid Promotion
WhatsApp se paisa kaise kamana chahte hain, yeh humare upar hai, lekin isme sabse important baat ye hai ke hamare paas WhatsApp numbers hon jo hamare kaam aayein aur hamari kamai ho.
Yahan kuch tarike hain jin se hum WhatsApp se kama sakte hain.
1: Affiliate Marketing Se WhatsApp Par Paise Kamaye
Affiliate marketing mein hamein kisi product ko bechna hota hai, aur agar koi hamare link se us product ko kharidta hai to hamein commission milta hai.
Sabse pehle, aap apna affiliate account Flipkart, Amazon jaise websites par bana sakte hain, phir woh product jo aap bechna chahte hain uska affiliate link banakar aap WhatsApp par share kar sakte hain. Agar log us link par click karke woh product kharidte hain to aapko commission milega.
2: WhatsApp Par Online Teaching Karke Paise Kamaye
Agar aapke paas koi talent hai aur aap logon ko sikha sakte hain, to aap WhatsApp ki madad se bhi logon ko sikh sakte hain.
Is tarike se paisa kamane ke liye, jo log aapse kuch seekhna chahte hain, aap unse teaching ka charges le sakte hain.
3: WhatsApp Par Link Shortening Se Paise Kamaye
URLs ko chota karke bhi paisa kamaya ja sakta hai, iske baare mein maine pehle hi proof ke saath bataya hai. To aap woh chote links WhatsApp par logon ko send karke bhi paisa kama sakte hain agar woh link ko open karte hain.
4: WhatsApp Par Apne Product Ko Beche
Agar aapka koi product hai ya phir aapki dukaan hai to aap uske details ko logon ko WhatsApp par bhejkar apne product ko bech sakte hain.
Aap bas apne product ki tasveer aur details logon ko bhejain, aur jo bhi usse kharidna chahte hain, woh aapse contact karke product kharid lein.
5: PPD Networks Se WhatsApp Par Paise Kamaye
PPD yani Pay Per Download. Iska matlab hai ke jitni baar bhi hamare link se koi kuch download karta hai, uske liye hamein paisa milta hai. To ham aise PPD ke links bhi logon ko send kar sakte hain, jisse agar woh download karte hain to hamari kamai hoti hai.
6: Apna Promotion Karen WhatsApp Par
Agar aapka koi business hai, koi website hai, ya kuch aisa hai jisko aap WhatsApp par promote kar sakte hain, to aap apne business ko promote karke zyada kamai kar sakte hain.
7: WhatsApp Par Paid Promotion Karen
Agar aapke paas bohat accha WhatsApp numbers ka collection hai to aap dusron ka promotion kar sakte hain aur unse iska charges le sakte hain.
WhatsApp Group Members Ko Active Kaise Rakhe
Agar aapko WhatsApp se paisa kamana hai to zyada WhatsApp numbers ka hona kafi nahi hai, isse bhi zaroori hai ke woh sabhi WhatsApp numbers active rahein aur aap jo bhi messages unko bhejte hain, unka jawab mile. Kyunki agar koi aapke message ko dekhte hi nahi, to usse koi faida nahi hoga.
WhatsApp par members ko active kaise rakhein, iske liye aap niche di gayi infographic dekh sakte hain.
WhatsApp Engaging Tips – Group Ko Active Kaise Rakhein
Conclusion
To Friends, ab aap jaan chuke hain ke WhatsApp se kaise paise kamaye ja sakte hain. Iske alawa bhi kai aur tarike hote hain WhatsApp se paisa kamane ke, lekin sabse main baat yeh hai ke hum WhatsApp par logon ko target karke apna kaam nikal sakte hain aur uske zariye paisa kama sakte hain.
Aapko yeh jankari kesi lagi, please comment karke zaroor bataye, aur agar aap aur logon ki madad karna chahte hain to aap is information ko zaroor share karen.
Agar aapke paas inke alawa bhi koi aur tarike hain WhatsApp se paise kamane ke, to woh bhi comment karke zaroor bataye.